Wednesday 19 March 2014

Tum itna jo muskura rahe ho

Tum itna jo muskura rahe ho
kya gham hai jis ko chupa rahe ho
aankhon mein nami hansi labon par
kya hal hai kya dikha rahe ho
ban jayenge zeher pite pite
ye ashk jo pite ja rahe ho
jin zakhmon ko waqt bhar chala hai
tum kyon unhen chede ja rahe ho
rekhaon ka khel hai muqaddar
rekhaon se mat kha rahe ho
-
 Kaifi Azmi

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain 
so us ke shahr mein kuchh din Thehr ke dekhte hain 

sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se 
so apne aap ko barbaad karke dekhte hain 

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk uskii 
so ham bhii uskii galii se guzar kar dekhte hain 

sunaa hai usko bhii hai sheir-o-shaaiirii se sharf 
soham bhii maujzay apne hunar ke dekhte hain 

sunaa hai bole to baaton se phuul jharte hain 
ye baat hai to chal baat kar ke dekhte hain 

sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai 
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain 

sunaa hai hashr hain uskii Ghazaal sii aankhein 
sunaa hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hai.n 

sunaa hai din ko use titliyaan sataatii hain 
sunaa hai raat ko jugnuu Thehr ke dekhte hain 

sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai 
so usko surmaafarosh aankh bhar ke dekhte hain 

sunaa hai uske labon se gulaab jalate hai.n 
so ham pahaarh pe ilzaam dhar ke dekhte hain 

sunaa hai aaiinaa tamasal hai jabiin uski 
jo saadaa dil hain ban-savar ke dekhte hain 

sunaa hai uske badan ke taraash aise hain 
ke phuul apnii qabaaein katar ke dekhte hain 

sunaa hai uskii shabistaan se muttasil hai bahisht 
makeen udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n 

ruke to gardish uskaa tavaaf kartii hai 
chale to usko zamaane Thehr ke dekhte hain 

mubaalaGe hii sahii, sab kahaaniyaa.N hiin sahii 
agar vo Khvaab hai to taabiir kar ke dekhte hain 

ab usake shehr mein Thehrein ke kuch kar jaaeiN 
"Faraz" aao sitaare safar ke dekhte hai.n